logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - rajab ali khan - 2022

Zindan Khul Gaya Hai Sakina Watan Chalo Sajjad Keh Ke Gir Para Choti Si Qabar Par

Zindan Khul Gaya Hai Sakina Watan Chalo

Sajjad Keh Ke Gir Para Choti Si Qabar Par


Mazloom Aisa Gir Para Turbat Pe Behan Ki

Jaisa Hussain Tha Gira Akbar Ki Lash Par


Dekho Nahi Rahi Mere Hathoon Mein Ab Rasan

Jane Laga Hai Qafila Ab Laut Kar Watan

Lekin Tu Behan Sham Mein Qaidi He Reh Gayi

Kha Kar Tamachay So Gayi Zindaan Ki Khak Par


Karta Hoon Yaad Ro Ke Main Manzar Woh Dard Ka

Kano Ke Zakhm Par Jo Tamacha Tujhe Laga

Baba Ko Tu Sina Pe Sada Deti Reh Gayi

Baba Sina Pe Rotay They Tab Tujh Ko Dekh Kar


Amma Ki Tarha Tujh Ko Na Mil Payi Thi Rida

Baba Ki Tarha Tujh Ko Kafan Bhi Na Mil Saka

Pathar Bhi Khaye Sham Mein Tu Ne Meri Tarha

Naqay Se Gir Ke Ho Gayi Teri Bhi Khum Kamar


Main Le Ke Tujh Ko Sham Se Wapis Na Ja Saka

Baba Ko Kya Bataon Main Ab Ja Ke Karbala

Kurtay Mein Dafan Kar Ke Banai Teri Lehad

Abid Ko Khoon Rulaye Ga Yeh Dard Umar Bhar


Karbal Mein Chin Gayi Thi Tere Sar Se Jo Rida

Wapis Main La Chuka Hoon Ossay Dekh Tu Zarra

Sar Par Main Tere Rakhta Rida Apne Hath Se

Afsoos Haye Sham Mein Tu Na Rahi Magar


Amma Ke Bain Sun Ke Nikalti Hai Jaan Meri

Kehti Hai Umar Bhar Na Woh Saye Mein Jaye Gi

Kaisay Uthaon Ujari Hoi Maa Ko Tu Bata

Teri Lehad Se Maa Ki Bhi Hatti Nahi Nazar


Woh Rukhsat e Hussain Pe Zainab Ka Imtehaan

Aisa He Aaj Phir Se Hai Zindan Ka Samaa

Sajjad Ho Raha Hai Juda Aisay Behan Se

Uthta Hai Ro Ke Qabar Se Girta Hai Qabar Par



Likhon Shahab Kis Tarha Mehshar Ka Marhala

Tha Gham Ki Inteha Pe Bhi Abid Ka Hosla

Zindah Behan Ki Qabar Se Uth Kar Chala Gaya

Ahwal e Gham Sunanay Ko Baba Ki Qabar Par

HomebookmarkmybayaazSetting